suruchi verma

Thursday, October 20, 2011


wo taaza bhi hai aur gehra bhi
majbooriyon ka hai uspar pehra bhi
wo waqt hai ya yaad kuchh keh nahi sakte
chalta hai sab kucch par kuchh to hai thehra bhi

Tuesday, September 13, 2011


kagazon ke pare dil ki kahani chhod di humne.......
ya keh lo is kalam ki gulaami chhod di humne......
                                 bheeg chuke the zindagi ke panne sare....
    aansu bahane ki aadat purani chhod di humne.

Monday, September 12, 2011

aane wale pal pe aitbaar kar nahi sakte.....
kyun khud apne sapne se pyar kar nahi sakte.......
        waqt ne rakh liya hai kuchh chheen kar humse ,
        hum fir se dhadkanein bekaraar kar nahi sakte.

DHADKAN MEHARBAAN HAI

हम चल रहे हैं या ये राहों की उड़ान है...
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...

सच पूछो तो खुद का होश अब रहा नहीं .....
क्यूँ दिल की बातों को ज़ुबां से कभी कहा नहीं.....
जिन पर हम चल रहे हैं अब तक,
क्या वो उस रब के कदमों के निशान हैं.
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...

वजह कोइ मिल जाये तो उस पर ही मिट जाये हम...
दिल में ना उतारे तो कैसे सताएगा कोइ गम....
कभी लगता सबकुछ अपना तो कभी,
ये सारी दुनिया वीरान है...
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...

चलो ज़िंदगी से नया वादा करके देखते हैं...
किसी बेखबर ख्वाहिश के दर पे माथा टेकते हैं....
ज़िंदगी ये छोटा सा बाज़ार है जिसमे,
हज़ारो ख्वाबो की दुकान हैं,
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...

एक नगमा चुन लिया जो दिल ने कभी...
गुम हो जाते हैं अकसर उसके सारे साज़ सभी...
पत्त्थरो से डर भी जाये जो कोइ,
सामने  तो ढेरो चट्टान हैं.....
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...

कुछ दूर बहा ले गया वो अजनबी हवा का झोंका.....
तस्वीर सपने जोड के आखो ने दिया दिल को धोखा....
कोरे कागज़ पे ही निखरता...
 रंगों का जाहां है,
सासें चल रही हैं या धड़कन  मेहरबान हैं...




Thursday, June 2, 2011

un lamhon ko sametkar chhupayein to kaise......
lekin lafz hothon tak layein to kaise.....
wadon se wafa ka andaza to nahi lagta lekin....
un aankhon ki sachhai ko jhutlayein to kaise.

yun to khud se bhi batein kiya karte the hum....
waqt wo kuchh aur tha jab akelepan se darte the hum...
ab to ye aalam hai kya kahein...
unke bina khud ka sath nibhaein to kaise.

musaafir hum samajh baithe the khud ko.....
par hum wo nahi jinhe rahon ki sudh ho....
chalna chahte hain jin kadmon ke nishaan pe...
unki manzil ko hum apna banaein to kaise.

khwaab hazaron sabki aankhon me hote hain...
kori zindagi ko hum kwahishon ke rang me dubote hain....
kabhi to sath chalne se khud hi darte hain...
aur kabhi sochte hain ,unki aarzoo kehlayein to kaise.

aasuon ne bhi behne se inkaar kar diya...
is bheed me khud ko humne tanha kar liya......
chhup chhup ke yun to bahut ro chuke the hum lekin....
ab unke bina apni ye palkein bhigayein to kaise.

jabse humne khud se door hone ki shart haari....
tabse khayalon me hi hain jaagi raatein saari.....
neendon se apna rishta todkar bhi......
unke khwabon me aayein to kaise.

khud ke roobaroo ho sake hain aaj hum.....
apni oor badh rahe hain hamare kadam....
bharose pe unke yakeen karne lage hain kyun....
ab hum akele hi khud se takrayein to kaise.
kuchh sawal jawab nahi maangte......
hum kisi aur se apne khwab nahi maangte......
jo hame mil na saka uska afsoos kyun karein......
apne gamon ka hum hisaab nahi maangte.
rishtey adhoore kisi kaam ke nahi........
ye to nibhane ke liye hote hain, sirf naam ke nahi.....
ye silsile hain umar bhar ke......
mohtaaj ye kisi anjaam ke nahi

in aankhon me unka intezaar chhupayein to kaise.....
jo wo nahi paas,hum khud ka sath nibhayein to kaise....
unki yadon se to chalti hain ye saansein.....
koi ye bata de ki khud ki dhadkano ko aazmaayein to kaise.
koi kwaab hakeekat se door hai aaj bhi........
samay ki uljhi kadiyan majboor hain aaj bhi.......
wo to kab ke aage nikal gaye phir bhi....
hume unki yaadon me jeena manzoor hai aaj bhi.
udaan ke hone me uski taaleem shamil nahi hoti.......
kisi veeraane me baje dhol to bhi wo mehfil nahi hoti......
har mod pe mud jana to aasaan hai lekin.....
har gali raahe manzil nahi hoti.

Friday, March 25, 2011

Kabhi satrangi phul hun main...
kabhi dhup kabhi dhool hun main...
kabhi kisi k liye behad zaruri...
aur kabhi behad fizool hun main....




ehsaas ke samunder ki to sirf ek boond hoon main.....
apne andar ke hulchul ko chupane ki koshish me lagi ek dhundh hoon main.....
anjaan maujon me uljhi koi kashti hoon main.....
dil ke machalne par aankhon se bahar aane wali masti hoon main.....
khud se kiya koi adhura sawal hoon main....
jaankar bhi aanjaan lagta koi khayal hoon main....
dil ki deewaron me kaid koi cheekh hoon main....
bharose ki dagar par sabse pehli seekh hoon main....
band hatheli ki takatwar mutthhi hoon main.....
sulajhne ko jo taiyyar nahi aisi koi gutthhi hoon main....
jiski koi khwahish nahi aisi koi aarzoo hoon main....
adhkhile phoolon ke armano ki khushboo hoon main....
nazdeekiyon se koi anjaana sa darr hoon main....
nasamajh dil ko rok na paye wahi bachpan ki umar hoon main.....

Socha Na Tha Humne.........

unki muskurahaton pe pighalne se pehle socha na tha humne .....
In rahon pe chalne se pehle socha na tha humne....

saamne jo mauj aayi to, gar sahilon ka sath chhod dete....
jane un maujon ke sath behkar,zindagi ko kya mod dete....
lekin lehron ke sath kashti ka rukh badalne se pehle socha na tha humne.... 
In rahon pe chalne se pehle socha na tha humne....

dastan kuchh is tarah sunati hai chahat ki kitab....
jisme ab bhi jee rahe  hain unhe jo na diye wo gulab....
unki yadon me din raat jalne se pehle socha na tha humne.....
In rahon pe chalne se pehle socha na tha humne....

achha hua jo wo rang aur roshni hame apna na bana sake...
ehsaas ke us sabse bade dhokhe ko hum sapna na bana sake......
apne kadmon ki ladkhadahaton ke samhalne se pehle socha na tha humne....
In rahon pe chalne se pehle socha na tha humne....

yun to guzarte hue pal mein unko hi dekha karte the......
shukr hai un palon se mohabbat karne se darte the.....
unki ankahi baton pe machalne se pehle socha na tha humne......
In rahon pe chalne se pehle socha na tha humne....


Monday, February 7, 2011

raaste badalne se manzilein nahi badla karti......
                         aansuon ke sath behkar chahatein nahi badla karti.......
yun to takleef deti hai ye duniya fir bhi........
                         yadon me dhadakti hui nazdeekiyan nahi badla karti.......

from pages of life..........

from pages of lifebook,some memories never fade away.......
those are moments that deep in heart forever stay........

though the time flies,but something has become still there.....
lovely old days have to be treasured & given care....
how the world now seems to be just okay okay...
from pages of lifebook,some memories never fade away.......

never will those days come back,we know very well.....
a wish in the heart to live them again will always dwell.......
how safe they are in thoughts,no word can say.....
from pages of lifebook,some memories never fade away.......

in a manner unrealized,memories took shape.......
Remembrance is a special feeling from which no one can escape.......
like raindrops they freshen up a thirsty boring day........
from pages of lifebook,some memories never fade away.......

they make us forget our present for a while........
and give not a new but old reason to smile.......
this is how past captures present and find its way.......
from pages of lifebook,some memories never fade away.......

Thursday, February 3, 2011

""wo kisse kahaniyon ke din""

wo kisse kahaniyon ke din...
 wo yaadgaar nishaniyon ke din.....


rooth kar na jane kab khud hi maan jate....
jaanboojhkar jo ek doosre ko satate....
tamaam ladai jhagdon ke baawajood...jab sath sabhi ek doosre ka nibhate......
yaad aate hain wo nasamajh shaitaniyon ke din....
wo kisse kahaniyon ke din.......

jab chupke se ghar se bahar nikalte.......
kabhi pani me utar jate to kabhi ped par chadhte........
chahte to nahi the lekin ....jab kisi baat par bewajah ladte.........
to zidd me akad dikhane wale naadaniyon ke din
wo kisse kahaniyon ke din.......

dhalti hui sham me miljulkar shor machana.....
ya kisi zidd me ro rokar aankhen sujana....
rote hue so jana....aur uthkar saari zidd bhool jana........
apni chhoti si duniya ki tamaam pareshaniyon ke din ....
wo kisse kahaniyon ke din.......

thakkar maa ke aanchal me jab sukoon paate......
papa ki daant se chhoti chhoti aankhon me aansu bhar aate...
pani se mano lagta tha darr...man maarkar jab hum fir bhi nahate....
chahkar bhi kuchh na kar paane wale majbooriyon ke din......
wo kisse kahaniyon ke din.......

choote chhote sapno me khushiyan dhoondhte....
phoolon aur titliyon ke sath jhoomte.........
nishchint sagar ki leher ki tarah...idhar udhar jab aawara ghoomte.....
hasseen us beete hue kal ki parchhaiyon ke din.........
wo kisse kahaniyon ke din.......

kore the wo zindagi ke panne jab...
na chhalkapat aur na chalaki thi tab.....
uljhe hue rehte the saare sawal to fir...jawabon ki fikar hum karte hi kab...
chulbuli un saari badmaashiyon ke din...
wo kisse kahaniyon ke din.......








Me :::A confused character

what are the words I wanna listen
                    what are the dreams I wanna see
what are the rules I wanna follow
                   which are the moments I wanna feel
I dont know why, my world seems so strange.......
                   where is my lonely sky and what is its range.........

how much I wanna be with me, and how much with the unknown crowd......
                  whether I wanna be soft & calm or whether I wanna scream loud.........

how deep I am in my soul & how deep in other hearts........
                 I dont know how misfortune end & even dont know how it starts.......

in order to get out of all confusion,why I started changing my perception......
                 how to give my life a new turn,to give it proper direction do shall I learn......

what I need to be happy & what can make me sad......
                 I really dont know what is good for me & even what is bad.......

The cycle is on & life is moving each day discovering my own desire.......
                  usually I think ,what is it for which I truly aspire........

my wishlist is so unrealistic & also it is changing frequently.......
                 Even I wont be satisfied by all that becoming true actually.......

Nothing can please me ,no breeze no rain.......
                 How should I get away from that kind of hidden pain.......... 

Wednesday, February 2, 2011

To handle yourself, use your head; to handle others, use your heart



Words have no verdict.......
destiny have no claims..........
there is a sentimental part .........
apart from funny games...........