wo kisse kahaniyon ke din...
wo yaadgaar nishaniyon ke din.....
wo yaadgaar nishaniyon ke din.....rooth kar na jane kab khud hi maan jate....
jaanboojhkar jo ek doosre ko satate....
tamaam ladai jhagdon ke baawajood...jab sath sabhi ek doosre ka nibhate......
yaad aate hain wo nasamajh shaitaniyon ke din....
wo kisse kahaniyon ke din.......
jab chupke se ghar se bahar nikalte.......
kabhi pani me utar jate to kabhi ped par chadhte........
chahte to nahi the lekin ....jab kisi baat par bewajah ladte.........
to zidd me akad dikhane wale naadaniyon ke din
wo kisse kahaniyon ke din.......
dhalti hui sham me miljulkar shor machana.....
ya kisi zidd me ro rokar aankhen sujana....
rote hue so jana....aur uthkar saari zidd bhool jana........
apni chhoti si duniya ki tamaam pareshaniyon ke din ....
wo kisse kahaniyon ke din.......
thakkar maa ke aanchal me jab sukoon paate......
papa ki daant se chhoti chhoti aankhon me aansu bhar aate...
pani se mano lagta tha darr...man maarkar jab hum fir bhi nahate....
chahkar bhi kuchh na kar paane wale majbooriyon ke din......
wo kisse kahaniyon ke din.......
choote chhote sapno me khushiyan dhoondhte....
phoolon aur titliyon ke sath jhoomte.........
nishchint sagar ki leher ki tarah...idhar udhar jab aawara ghoomte.....
hasseen us beete hue kal ki parchhaiyon ke din.........
wo kisse kahaniyon ke din.......
kore the wo zindagi ke panne jab...
na chhalkapat aur na chalaki thi tab.....
uljhe hue rehte the saare sawal to fir...jawabon ki fikar hum karte hi kab...
chulbuli un saari badmaashiyon ke din...
wo kisse kahaniyon ke din.......
No comments:
Post a Comment