suruchi verma

Thursday, June 2, 2011

un lamhon ko sametkar chhupayein to kaise......
lekin lafz hothon tak layein to kaise.....
wadon se wafa ka andaza to nahi lagta lekin....
un aankhon ki sachhai ko jhutlayein to kaise.

yun to khud se bhi batein kiya karte the hum....
waqt wo kuchh aur tha jab akelepan se darte the hum...
ab to ye aalam hai kya kahein...
unke bina khud ka sath nibhaein to kaise.

musaafir hum samajh baithe the khud ko.....
par hum wo nahi jinhe rahon ki sudh ho....
chalna chahte hain jin kadmon ke nishaan pe...
unki manzil ko hum apna banaein to kaise.

khwaab hazaron sabki aankhon me hote hain...
kori zindagi ko hum kwahishon ke rang me dubote hain....
kabhi to sath chalne se khud hi darte hain...
aur kabhi sochte hain ,unki aarzoo kehlayein to kaise.

aasuon ne bhi behne se inkaar kar diya...
is bheed me khud ko humne tanha kar liya......
chhup chhup ke yun to bahut ro chuke the hum lekin....
ab unke bina apni ye palkein bhigayein to kaise.

jabse humne khud se door hone ki shart haari....
tabse khayalon me hi hain jaagi raatein saari.....
neendon se apna rishta todkar bhi......
unke khwabon me aayein to kaise.

khud ke roobaroo ho sake hain aaj hum.....
apni oor badh rahe hain hamare kadam....
bharose pe unke yakeen karne lage hain kyun....
ab hum akele hi khud se takrayein to kaise.
kuchh sawal jawab nahi maangte......
hum kisi aur se apne khwab nahi maangte......
jo hame mil na saka uska afsoos kyun karein......
apne gamon ka hum hisaab nahi maangte.
rishtey adhoore kisi kaam ke nahi........
ye to nibhane ke liye hote hain, sirf naam ke nahi.....
ye silsile hain umar bhar ke......
mohtaaj ye kisi anjaam ke nahi

in aankhon me unka intezaar chhupayein to kaise.....
jo wo nahi paas,hum khud ka sath nibhayein to kaise....
unki yadon se to chalti hain ye saansein.....
koi ye bata de ki khud ki dhadkano ko aazmaayein to kaise.
koi kwaab hakeekat se door hai aaj bhi........
samay ki uljhi kadiyan majboor hain aaj bhi.......
wo to kab ke aage nikal gaye phir bhi....
hume unki yaadon me jeena manzoor hai aaj bhi.
udaan ke hone me uski taaleem shamil nahi hoti.......
kisi veeraane me baje dhol to bhi wo mehfil nahi hoti......
har mod pe mud jana to aasaan hai lekin.....
har gali raahe manzil nahi hoti.